Artist: Aziz Mian Qawwal
Title: Tarrapte Hain Machalte Hain (Desires Yearn and Wring in the Heart)
Album: Raaz Khud Mushthir Ho To
Genre: Qawwali
Length: 49:27
Comment: ...

Track 1: Tarrapte Hain Machalte Hain (24:51)
Track 2: Buhat Armaan Seena Mein (24:36)

Tarrapte Hain Machalte Hain
(Desires Yearn and Wring in the Heart)


baagh e bahisht wasf e jalam e mohammadast
khatm e rusul sifaat e kamal e mohammadast
her kasbe arzu e jamal e mohammadast
maqsood e ma mohammad o aal e mohammadast

tarapte hein machalate hein bohot armaan seene mein

tarapte hein...

chain kaise milay raat kaisay katay
dil hamara tumhara madine mein hai

tarapte hein...

bula loge madine mein to meri zindagi hogi
mein jaali choom loon ga to mukammal bandagi hogi

tarapte hein...

nooh ko jab mouj e kofaa mein kinara mil gaya
aur kaleem ullah ko lutf e nazara mil gaya
husn e yousuf ko zulekha ka ishara mil gaya
algharaz her ik bechaare ko chaara mil gaya
ham ghareebon ko muhammad ka sahara mil gaya

tarapte hein...

meri faryad mein itna to asar ho jaye
dil jo tarpe muhammad ko khabar ho jaye

tarapte hein...

mein yeh samjhon ka mujhe doulat e qounain mili
zindagi gardar e ahmed per basar ho jaye

tarapte hein...

rooh aankhon mein shab e gham jo ari hoti hai
paon mein beri mohabbat ki pari hoti hai
aik aise bhi tasawwur ki ghari hoti hai
aankh tasveer e mohammad se lari hoti hai

tarapte hein...

munawwar jis tarah se chand hai taaron ke jhurmat mein
shama jis tarah se jalti hai pardaaron ke jhurmat mein
maseeha jis tarah baitha ho beemaron ke jhurmat mein
barooz e hashr ay eeman walo bus isi surat
mohammad mustafa hoon ge gunahgaron ke jhurmat mein

tarapte hein...

yeh kefiyat bhi baar-ha mujh per guzar gayi
tha jalwa e rasool jahan tak nazar gayi

tarapte hein...

aankhon ne meri sara madina sambho liya
choti si cheez kitna bara kaam kar gayi

tarapte hein...

hein paye mustafa pe mera sir rakha howa
aise mein ay ajal tu kahan ja ker mar gayi

tarapte hein...

madfun agar bane to madine ke aas paas

tarapte hein...

betaab umangon se her dam dhak dhak mera seena hota hai
aik kook si uthti hai dil mein jab yaad madina hota hai

tarapte hein...

yehi hai aarzu sud-ehtamami
madine ki jo mil jaye ghulami

tarapte hein...

na howa aap sa paida koi mumtaaz nabi
miyaan aap per khatam howi izzat-o-aala-nasabi
shoura e khalk howi aap ki bala hasabi
marhaba sayyade makki madani ul arabi
dil o jalbat fidoyat che ajab khush laqabi

ay saba tera madine ke taraf ho jo guzar
to meri samt se aadab yoon ker ke nazar
bal ke sir rakh ke dar e pak pe badeeda e tar
arz karna ba hazoor e shah e her jinn o bashar

chashm e rehmat bakusha su e manandaz nazar
ay qureshi laqabi hashmi o muttalabi
yeh bhi kehna ke mere dil ko satate hein alam
yeh bhi kehna na taaqat hai na uthte hein qadam
yeh bhi kehna ke yeh jari hai zabaan per herdam

tarapte hein...

madina kahan aur kahan mein kamina
tassawur ko bhi aa raha hai pasina

tarapte hein...

ghareebam ya-rasool allah ghareebam, nadaram dar jahan justo habeebam
koi aisa nahi jo kaam aaye, mareez e gham ko bistar se uthaye
maraz darande isyan la-dawa'e, magar altaf e tauba shak tabeebam

gunah aise kiyeh karne na they jo
bohot badkaar hoon laikin yeh sun lo
wasila aap ka kaafi hai mujh ko
bari nazam ke hastam ummati
to gunahgaram wa laikin khushnaseebam

tarapte hein...

mere kaano mein chupke se kaha peer e tariqat ne

tarapte hein...

shagufta gulshan e zehra ka her gul e tar hai
kisi mein rang e ali aur kisi mein bo e rasool
talashe naqshe kafe pae mustafa ki qasam
chune hein aankhon se zarrate khake koe rasool

tarapte hein...

gardon pe ghata jhoom ke dhaani aayi
kausar ki khabar in ki zabaani aayi
jab zulf ko bikhra ke muhammad aaye
dosheeza e rehmat pe jawani aayi

tarapte hain...

mera dil masjid e nabwi ke meenaron ke uper hai

tarapte hain...

ze rehmat kun nazar barhaal e zaram ya rasoolallah
ghareebam benawayam khaaksaram ya rasooallah

tarapte hain...

gunahgaro ka haami ahmed e mukhtaar ko dekha

tarapte hein...

mein to dhundhat dhundhat haar gayi
mujhe pee ke nagar ka dagar na mila
tan sookh gayo pag sooj gayo
mujhe haye wo shaam-sundhar na mila

mein to bethi thi mun mein aas dhare
ke wo aaqa piya mujhe yaad kare
wa'ke charno mein jaake mein sees dharon
koi meri khata ko wo maaf kare

na bani ne na bagh ne khayo mujhe
na pahar pe nagan haye daso
mera bhag se talib sokh gayo
kaheen preetam pyare ka ghar na mila

tu jari badarya pee ke dware
mulk e arab mein jayi baras
mere bond katari lagat hai
mein to aapi maron pe ke daras

tarapte hein...

pesh e rasool aik din jibrael thay kharay
fakhr e daraz e umr ko dil mein liyeh hoay
has ker yoon jibreal se kehne lagay nabi
kya umar hai tumhari yeh batlao to saheeh

ki arz jibrael ne ya sayyad ul bashar
mujh ko to apne baaray mein bus itni hai khabar
ya nabi hota hai sar e arsh tilo aik sitara
sattar hazar saal ke baad dubara

andaza meri umar ki kijiyeh shah e wala
mein ne sattar hazaar martaba dekha hai wo tara
yeh sun ke mustafa ne kaha jaan sako ge
ey jibrael wo tara agar dekha to pehchan sako ge

yeh keh ke sirkar ne sir se amama jo hataya
peshani e nabi mein wo tara nazar aaya

tarapte hain...

adam se layi hai hasti mein aarzu e rasool
kahan kahan liyeh phirti hai justuju e rasool

dar e sabir pe jab pohchi to farmaya
tu dehli mein nizaamuddin ke ghar ja

nizaamuddin per pohchi to farmaya
fariduddin ke ghar ja

fariduddin per pohchi to farmaya
tu khawaja qutubuddin ke ghar ja

qutubuddin per pohchi to farmaya
ajmeri khawaja moinuddin ke ghar ja

moinuddin per pohchi to farmaya
madine chali ja madine chale ja

wahan ranj alam sub kat'te hein
hasnein ke sadqe bat'te hein

hasnein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...

jis ne haq karbala mein adaa ker diya
apne nana ka wada wafa ker diya
sub kuch ummat ki khatir fida ker diya
ghar ke ghar ko supurd e khuda ker diya

hasnein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...

na musibat mein namazon ko bhulaya tu ne
zer e khanjar bhi yehi ker ke dikhaya tu ne
khouf batil ka hargiz hai na khaya tu ne
nok e neza pe bhi Quran sunaya tu ne

hasnein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...

hakim ka hukm yeh tha ke pani bashar piyen
ghore piyen sawar piyen aur shutar piyen
jo tashna lab jaan hein sub aan ker piyen
haiwan piyen charand piyen janwar piyen kafir talak piyen

tu tum mana na kijiyo aik fatima ke laal ko pani na dejiyo
wada to karna aasan hai wade ko pora kon kare
sir deke jaan e jigar deke dekho to aisa kon kare
farmata tha shah o karbala jannat ka sauda kon kare

shabbir ne hans ker farmaya pani ki tamanna kon kare
jab zikr e khuda se hai tar zabaan pani ka shikwa kon kare
abbas e ali yeh bol uthe pani na mile ko kya gham hai
hum khuld mein ja ker dekehin ge aray kausar pe qabza kon kare

hasnein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...

ay Allah ub na qasim mera baqi hai na akbar baqi
na alamdar salamat hai na lashkar baqi
bhanje hein na bhateje na baradar baqi
afa qasar mera baqi hai aur asghar baqi

mein sir fida ker ke shareek e shohda hota hoon
ay Allah aaj mein teri amanat se ada hota hoon

aur ay Allah sun dur e danda mere nana ne tujhe nazar keya
surkhuru hai tere darbaar mein baba mera
dil ke tukre mere bhai ne keye tujh pe fida
aaj shaabir bhi un sab ke maqabil hoja
sir mera gar teri sirkaar ki qabil hoja

hasnein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...


24:36

hasnein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...

jin nainon ko ali o fatima choome

us nein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...

yoon raqam karta hai ik ravi e maghmo mein hazii
aik dulha liyeh jata tha baraat apni kaheen

wehb e qalbi tha laqab tha wo ghulaam e shah e deen
door se aayi nazar us ko jo maqtal ki zameen

miyan dil pe shabbir ke maatam ka asar honay laga
dekh ker ganj e shaheedan ki taraf ronay laga

aik zameendar khara tha yeh kiya us se kalaam
kis ki yeh fauj hai aur kis ke yeh lashay hein tamaam

yeh jo zakhmi khara laakhon kia iska hai naam
ro ke wo shaks pukara ke hai ronay ka maqaam

hein yeh jallad jo khenche howay shamsheren hein
aur zehra ke muraqqay ki tasveerein hein

yeh jo zakhmi khara khata hai naiza o teer
hai sakhi ibn e sakhi aur ameer ibn e ameer

hai yehhi teer shab o rooz ka piyasa shabbir
ub talak subah se loota gaya baagh e zehra

ub yeh berehm bujhatay hein charaagh e zehra
aur yoon to ik zulm se ik zulm howa shai pe sirat

teen sadmo mein magar sabr ka yaraa na raha

ik jawan iska bhateeja tha hasan ka beta
shab ko wo dulha bana subh shaheedon mein mila

uske marne ki khabar shai ne jo pohchayi thi
ma dulhan ko liyeh sir nange nikal aayi thi

dosra hadsa ik bhai tha bashakl e safdar
jab se wo mar gaya seedhi nahi hoti hai kamar

ub bhi rota hai usay haye baradar keh ker
bekafan laash wo uski hai pari darya per

abhi wo lash ajab-dad se tharrayi thi
bachi wo haye chacha keh ke chillayi thi

teesra hadsa mein kya kahoon phat'ta hai jigar
ik jawan beta tha atthara baras ka akbar

barchiyon se abhi mara gaya wo pisar
haif hai dafn howi raat ko jiski madar

gham e akbar mein usay kya kahoon
kyunker dekha sub ne maidaan mein zainab ko khulle sir dekha

hasnein ke sadqe bat'te hein...
hasnein ke sadqe bat'te hein...

hasnain ke sadqe bat'te hein, saqiri mein madeenay chali
mera desh gaya mera bhes gaya

kalme ki bhaboot mo pe mali
birha ki been ko kaandhe dhari

yeh kehti chali idhar dhondti hai udhar dhondti hai
mohammad ko meri nazar dhoondti hai

mein madine pohchi aayi aawaz
bandi hai agar rub ki to ja rub se maang

ay mere rub ub kaisa betha dekhta hai

....

wehdat he wehdat is ke siwa kya hai
ja lena hai agar to ja le le mohammad se

mohammad na dein ge to phir kaun dega
mohammad na dein ge to phir kaun dega

sharafat unke ghar ki hai latafat unke ghar ki hai
hashmat unke ghar ki hai shaukat unke ghar ki hai
shariat unke ghar ki hai tariqat unke ghar ki hai
haqiqat unke ghar ki hai marifat unke ghar ki hai
nabuwwat unke ghar ki hai imamat unke ghar ki hai
khilafat unke ghar ki hai wilayat unke ghar ki hai
shuja'at unke ghar ki hai khaawat unke ghar ki hai
shahadat unke ghar ki hai aur gunahgaroon ko bakhshana
yeh aadat unke ghar ki hai

mohammad na dein ge to phir kaun dega
mohammad na dein ge to phir kaun dega

aray qayamt ke din gunaahon ki maafi
mohammad na dein ge to phir kaun dega

mohammad na dein ge to phir kaun dega
mohammad na dein ge to phir kaun dega

ay saqi mein madine aayi

kehne lagi ya rehmat e aalam ub tum na khukrana
mein to dono aalam ki tuhkrayi hoon
nida aayi ey bangi to kya mangti hai
nabi ji lo dekho mein kya maangti hoon

tarapti howi zindagi maangti hoon
aur tumhe se tumhein ya nabi maanti hoon

tarapte hein machalate hein bohot armaan seene mein

tarapte hein...

tarapte hein machalate hein bohot armaan seene mein
rawaan jab qaafla hota hai yahaan hajj ke maheene mein

bhala yeh kaise mumkin hai mohabbat ke qareene mein
mazaa kya khaak aaye aaqa door reh ker aise jeene mein

ke parwaana yahaan tarpe jalay shamma madina mein
ke parwaana yahaan tarpe jalay shamma madina mein

riwayat hai madine mein jab kabhi toofan ghir aatay
dua ke waastay sirkar phir bahar nikal aatay

hawaein kya hawadis bhi shher se door ho jatay
isi bais madine mein kabhi toofan nahi aaya

ke hai shehr e madina per mere sirkaar ka saaya
malaik jinn o insan ka to aakhir pochna kya hai

hawaein bhi adab ke saath chalti hein madine mein

muhammad is tarah se jalwa farmaan hein madine mein
ke jaise surah-e-yasin hai Quran ke seene mein

dar e aaqa pe pochoon aur pochonch ker dam nikal jaye
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

taj o takht o hakoomat nahi maangta
deen o dunya ki sarwat nahi maangta

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

na kaleem ka tasawwur na khayal e toor e seena
meri aarzu muhammad meri justuju madina

na kaleem se shikayat na waizon se keena
wohi toor o khuld le lein mujhe chor dein madina

mujhe dushmano na chero mera hai koi jahaan mein
mein abhi pukaar loon ga nahi door hai madina

mein ghulam e mustufa hoon meri azmatein na poocho
mujhe dekh ker jahannum ko bhi aa gaya paseena

bajuz iske aur koi meri aarzu nahi hai
mujhe maut bhi jo aaye ho saamnay madina

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

bula lo ge madina mein to meri zindagi hogi
mein jaali choom loon ga tab mukammal bandagi hogi

mazaa aa jaye ga mujh ko zamanay mein gadai ka
ke kaasa haath mein hoga madina ki gali hogi

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

meri kashti ko kya gham toofan o hawadis ka
mohammad ka wasila le ke bethon ga safinay mein

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

aise nigaah hajj ke maheene mein daal do
qaidee bana ke mujh ko madina mein daal do

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

aaqa seene pe tasalli ke liyeh haath dhara ho
aur jab khaak uray meri madine ki hawaa ho

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

momin kabhi ghamnaak nahi ho sakta
wa rafta e idraak nahi ho sakta
sirkar e do alam ki mohabbat ke baghair
insaan ka dil paak nahi ho sakta

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

muray phir suu e taiba aaj mere dil ka sayyara
khusha hafiz khuda dikhlaye mujh ko ruu e zebara
bari muddat se hai bechain yeh darwesh bechara
dam e aakhir numayi jalwa e deedar ja meera
ze lutf e to hami ummed waraam ya rasool allah

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

tumhe per sajd??? hai eeman mera jaan o dil tan mun
tumhara naam le ker dam nikal jaye banay mudfun
tooe mawa tooe malja tooe rooh e rawan e mun
tooe taskeen e dil araam o jaan sabr o qaraar e mun
rukh e purnoor binma beqaraaram ya rasool allah

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

na moolis hai na koi mera ham dam ya rasool allah
tumhara aasra hai jaan e aalam ya rasool allah
madad ka waqt hai mere mukarram ya rasool allah
ze rehmat kun nazar bar haal e zaaram ya rasool allah
ghareebam besaharam khaaksaram ya rasool allah

yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein
yehi hai aarzu meri banay mudfun madina mein

ke parwana yahaan tarpay jalay shamma madinay mein...


back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)