Artist: Aziz Mian Qawwal
Title: Raaz Khud Mushtahir Ho To Mein Kya Karon (The Secret is Well-Known)
Album: Raaz Khud Mushthir Ho To
Genre: Qawwali
Length: 54:38
Comment: ...

Track 1: Raaz Khud Mushthir Ho To
Track 2: Main Kya Karon

Raaz Khud Mushtahar Ho To Mein Kya Karoon
(secret is well-known itself)


Part 1: 27:18


Sufi Chants...

nabood o bood ka her raaz jab ke raaz mein tha
tumhare saath mein parda e majaaz mein tha

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

hum ne chupai laakh muhabbat na chup saki
raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

kunto kanzan keh ke khud apni haqiqat keh gaye
mein ne poocha meri hasti bolay

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

mere kaano mein chupke se kaha peer e tareeqat ne
raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

kocha ba kocha kuu ba kuu darya ba darya ju ba ju
sehra ba sehra su ba su her dam yeh he thi justuju

ho ja kaheen tu ruu baruu ker loon zara si guftugu
laikin pari khud per nazar to dekha khud mein khud hai jalwagar
sun bayi sadu kehed kabira aray yaar magar aur shehar dhandora

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

jahan mabood thehraya gaya hoon waheen sooli pe latkaya gaya hoon
ajab ik sirr e mubham hai meri zaat na samjha hoon na samjhaya gaya hoon
pas e deewar firdos e mu'alla sukoon e arsh ta dhaya gaya hoon

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

yoon to tera hee banaya howa insaan hoon mein
laikin teri dunya se zyada kaheen gunjaan hoon mein
keh diya mein ne anal haqq ko qayamat kaise
tujh ko maaloom hai yarub tera farmaan hoon mein

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

waiz yeh samajhta hai haram mein kuch hai
hindu yeh samajhte hein sanam mein kuch hai
dono ko yeh khush fehmi dono he hein ghum
hum to yeh samajhte hein hum mein kuch hai

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

udhar tum idhar hum... aaja
idhar udhar hata de tum hum
tum hum tum hum tum hum tum hum
tum mein hum hum mein tum
aray dono ho gaye ghum

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

bator e fidya qurba-gaah ki jaanib
kahan se haank ker laya gaya hoon
koi mehmaan e nakhwanda na samjhay
basad israar bulwaya gaya hoon

kabhi mein naghma e dawood bun ker suleman ke liyeh gaya hoon
kabhi mein noh e yaqoob bun ker dar e majlis pe dohraya gaya hoon

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

muhabbat ki dunya mein jab tu he tu hai
tu he tu tu he tuu
idhar bhi tu udhar bhi tuu
yahan bhi tu wahaan bhi tu

mandir mein tu masjid mein tu
kaabe mein tu bunt'kade mein tu
mabad mein tu maddam mein tu
her jaga tu he tu yani her jaga tu he tu

muhabbat ki dunya mein jab tu he tu hai
to phir meri aarzu ub meri aarzu wo teri aarzu hai
ik aise bhi manzil hai raah e tala mein
jo tu hai wo mein hoon jo mein hoon wo tu hai

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

khud apne jalwa e hasti ka mubtila hoon mein
na muddayi kisi ka na mudda'aa hoon mein

Persian Verse

khud apne jalwa e hasti ka mubtila hoon mein
na muddayi hoon kisi ka na mudda'aa hoon mein
badalti rehti hai dunya mere khayaloon ki
kabhi mila hoon kabhi yaar se juda hoon mein

mujhi ko dekh lein ub tera dekhne walay
tu aaina hai mera tera aaina hoon mein

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

mere raaz e nihan ka haal muhtaj e bayan kyun hoon
jo lafzoo ka ho majmooa wo meri daastan kyun ho
miyan tera jalwa jo hasti hai to phir qed e nazar kaise
meri hasti jo parda hai to wo bhi darmiyan kyun ho

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

hadd talak to sabhi gayo anhad gaya na koye
hadd anhadd ke beech mein raah kabira sooye
her maray so hum maray hamri maray balaye
saachay gurka baalka na maray na maara jaye

miyan maala lakkar thakur pathar peerat hai sub faani
raama mar gaye krishna mar gaye mer gayi lakkhu-bayi
us saadu ko hum kyun na poojein jis ko maut na aayi

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

seena sipar hoon dekh le ishq mein bekhudi ka asar dekh le
shouq mein mehv hoon kis qadar dekh le
meri janib bhi ou bekhabar dekh le
dekh le dekh le ik nazar dekh le

apni nazaron ka sadqa idhar dekh le
qatalgah mein hoon seenasipar dekh le
mou jhukaye howay apna sir dekh le
hai shahadat ki dhul is qadar dekh le
phaink ker apna teer e nazar dekh le
aaj tu bhi hamara jigar dekh le

toor per bhi charagh e tajalla ho tum
kaaba o dair mein bhi ujala ho tum
kya bataoon tumhein kya tamasha ho tum
her taraf her jaga jalwa'aaran ho tum
dekhne wala chahay jidhar dekh le

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

seena sipar hoon dekh le teer e nazar ka waar ker
aaja nazar ke saamnay gesu zara sanwaar ker
adl o qehr teri khushi rehm o karam talam meri
acha to chal yoon he sahi mere gunah shumaar ker

lazzat e aashiqi hai kya tu bhi to chakh kabhi mazaa
aap he apne jalwe se khud ko kabhi shikaar ker
mujh ko to is jahaan mein sirf tujhee se ishq hai
ya mera imtihaan le aur ya meri aitebaar ker

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

idhar bhi tu udhar bhi tu, yahaan bhi tu wahaan bhi tu
hum kisay kaaba banaein aur kis ko sang e aastan ker lein
kasha-kash mein hein deewanay tera sajda kahan ker lein
na ker deewana e ulfat talaash e markaz e sajda
tujhe sajday se hai matlab jahan chahay wahaan ker lein

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

na yeh hasrat hai ub dil mein ke bera paar ho jaye
na yeh hasrat ke tujh se wasl ka iqraar ho jaye
na yeh hasrat ke tu ruswa sar e baazar ho jaye

agar mehshar bhi uthne ke liyeh tayyar ho jaye
agar teer e nigah e naaz dil mein paar ho jaye
agar is se bhi badtar apna haal e zaar ho jaye

jo hona hai so ho jaye magar deedar ho jaye
laikin sun tere honay ka mein izhaar hoon
mein tamashayi nahi deedar hoon

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

kaise tasbeeh kaisa musalla
kyun ke kabhi na meri maala tooti
mein to raam bhajan se chooti

kaise tasbeeh kaisa musalla
kyun ke tasbeeh he ke daano se abas kaam liya
yoon muft ka zaahidon ne ilzaam liya
ay allah tera naam to wo tha jo be-ginti lete
kya luft jo gin gin ke tera naam liya

kaise tasbeeh kaisa musalla
kis ki kirpa kis ki pooja
miyan kya lena aur kya dena
tu mera mein tera meri maange bala

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

mein ne kaha kya zeest hai, woh bolay mera iqraar hai
mein ne kaha kya maut hai, bolay mera inkaar hai

mein ne kaha taskeen hai kya, bolay meri chashm e karam
mein ne kaha soozish hai kya, bolay meri aazar hai

mein ne kaha rehmat hai kya, bolay meri adna khushi
mein ne kaha mehshar hai kya, bolay meri raftaar hai

mein ne kaha dozakh hai kya, kehne lagi doori meri
mein ne kaha jannat hai kya, bolay mera deedar hai

mein ne kaha mein kaun hoon, kehne lagay banda mera
mein ne kaha teri talab, kehne lagay...

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

tum jo chaaho to muqaddar ka likha bun jaaon
brahman bun ke jo poojo to khuda bun jaaon
dekhte jao to aaine ka zangar banoon
phelte jao to daaman e saba bun jaaon
rongte jaon to aik takhta e gulrung banoon
maangte jao to bekas ki dua bun jaaon
bhoolte jao to waadon ki adaa bun jaaon
aarzu mand nigaahon ko milay koi payaam
jald farmaa yeh sirkaar mein kya bun jaaon

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon


Part 2: 27:20

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon
raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon

raaz khud mushtahar ho to mein kya karoon
husn ki aankh tarr ho to mein kya karoon

husn ki aankh tarr ho to mein kya karoon
husn ki aankh tarr ho to mein kya karoon

husn e maghroor teri ishq se nisbat kya hai
tu faqat misr ke bazaar mein bik jaata hai

husn ki aankh tarr ho to mein kya karoon
husn ki aankh tarr ho to mein kya karoon

unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
unke waaday pe mujh ko bharosa to hai

unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon

kyun ke hum paida howay...
paida howay azaan howi aur jab maray howi namaaz
itni si zindagi ka bhala kya karay koi

zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon

rahay ga pyaar tera saath umrbhar...
rahay ga pyaar tera saath zindagi bun ker
yeh aur baat meri zindagi wafaa na karay

zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

kuch bhi nahi siway musalsal faraib hai
dekha hai zindagi ko nihayat qareeb se

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

laayi hayat aayi qazaa le chali chalay
apni khushi na aaye na apni khushi chalay

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

tere karam se meri salamat hai zindagi
tera karam na ho to qayamat hai zindagi

tu chahay zindagi ko mitay de abhi abhi
rooz e azal se teri amanat hai zindagi

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

zindagi kya...

kisi hamsaaye se maanga howa zewar to nahi
aik tharka sa laga rehta hai kho janay ka

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

zindagi kya kisi muflis ki qabaa hai jis mein
her ghari dard ke pewand laga karte hein

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

qabar ke choktay khali hein inhein bhi dekho
janay kab konsi tasveer saja di jaye

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

zindagi... zindagi

zindagi azdaat ka pai'mane lutf o ittefaq
aik ham-a-hangi miyan e jazba e wasl o firaq
aik atal meesaq mabain e jamood o inshiqaq
kher o shar ka sulho-nama shamesar sarka wifaq

shabnam o khursheed ka ehd e wafa hai zindagi
dekhiyeh to but parakhieyh to khuda hai zindagi

zindagi... yusuf zulekha qais laila naldaman
eid ki mae, choudwi ki raat, chothi ki dulhan
aik kahankti lab'kushai, aik chubukta bankpan
rung sagar, raag mandar, roop mala, phol bun
jiski qarno-o-khujla-e-qudrat mein rakhwali howi
titlion ki rasm saqi chaon mein pali howi

zindagi bageshri sarangdi pakso'hini
buttarashi raqs mousiqi khitabat shairi
pankhri titli sanobar doobnafli chandni
ardabani aasmani zafrani zindagi
laajvanti madbhari komal suhani zindagi

zindagi murte howay patte pe boondo ki khanak
subh-e-sarma ki kiran shaam-e-bahara ki dhanak
bol titli ki uraan, awaz konday ki lapak
kobti birkha mein sarangi ke taro ki lachak
shehr-e-tan mein phoolwalo ki gali hai zindagi
aur gardan-e-aafaq mein champakali hai zindagi

zindagi zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi zindagi

zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon

unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
unke waaday pe mujh ko bharosa to hai

unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon

mein ne kaaba samajh ke jhukayi jabeen
wo tera sang e dar ho to mein kya karoon

wo tera sang e dar ho to mein kya karoon
wo tera sang e dar ho to mein kya karoon

mein ne peenay se tauba to ki thi magar
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

mae urhne waali hai maekash uranay walay hein
aik... do... nahi chauda pilanay walay hein

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

mehwashon ka zameer rakhtay hein
dilbaron ka mijaaz rakhtay hein
maekaday mein sharaab ke piyalay
her maraz ka ilaaj rakhtay hein

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

jaari hai roshni mein do sarmadi lakeerein
aik jaam ja raha hai aik jaam aa raha hai

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

miyan bol meethe nazar nasheeli hai
mein ne do maekadoon se pee li hai
mein ne thori si pesh ki thi magar
shaikh ne behisaab pee li hai

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

maekhanay mein mazaar hamara agar bana
dunya yeh he kahay gi ke jannat mein ghar bana

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

meri sharaab ki tu qadar jaanay kya waaiz
jisay mein pee ke dua doon wo jannati ho ja

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

na jaanay yeh waaiz ulajhte hein kis talluq se
sharaab ke yeh koi rishtaydaar bhi to nahi

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

dar kharabat ka kushada hai
ke yeh sirkaar kya irada hai

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

ey allah itni baras paray
ke naha loon sharaab mein

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

kuch sooch ke shamma pe parwana jala hoga
shayad isi jalnay mein jeenay ka mazaa hoga

jis waqt yeh mae tu ne botal mein bhari hogi
saqi tera masti se kya haal howa hoga

maekhanay se masjid tak paaye gaye naqsh e pa
ya shaikh gaya hoga ya rindh gaya hoga

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

achoot e jaam hein mannat ke kuch alag rakhay
kisay pilaaon koyi paarsa nahi milta

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

aaj yoon hasrat nikaali jaye gi
ker ke tauba toor dali jaaye gi
waizo peenay ki haami to bharo
hoz e kausar se mangali jaye gi
mae ke le jaanay ko botal chahiyeh
parde he mein parde wali jaaye gi

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

waizo peenay ki haami to bharo, hoz e kausar se mangali jaye gi
mae ke le jaanay ko botal chahiyeh, parde he mein parde wali jaaye gi

kyun ke haath tak mufti o qazi ko laganay na diya
ay sharaab tu to bari sahib e ismat nikli

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

zameen bhi gulabi zaman bhi gulabi
fiza bhi gulabi hawa bhi gulabi
aaj mausam bara gulabi hai
aaj peene mein kya kharabi hai

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

hum ahowan e shab ka bharam khooltay rahay
meezan e dilbari pe unhein tooltay rahay
aks e jamal e yaar bhi kya tha ke dair tak
aaine kumriyon ki tarah boltay rahay

kal maekaday mein rind tawazun na rakh sakay
khatt e sabu pe qoun o makaan doltay rahay
her muttaqi e shehr e kharabat raat bhar
tasbeeh e zulf e seem tana roltay rahay

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

saqiya aik do jaam se maekharon ka banta kya hai
saqiya aaj to maekhanay ki chaabi de de

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

yeh he maekadaa yahaan rindh hein
yahaan sub ka saqi imaam hai
yeh haram nahi ek shaikh ji
yahaan paarsayi haram hai

jo zara si pee ke behek gaya
usay maekaday se nikaal do
yahaan kamnazar ka guzar nahi
yahaan ehl e zarf ka kaam hai

yeh janaab e shaikh ka falsafa
jo samajh mein meri na aa saka
jo wahaan piyo to halaal hai
jo yahaan piyo to haraam hai

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

nuskha bayaaz e saqi e kausar se mil gaya
ghar bethe ub sharaab e tahoora banaoon ga

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

nuskha bayaaz e saqi e kausar se mil gaya
ghar bethe ub sharaab e tahoora banaoon ga

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

barsaat bint e ravi o jamna o neelgung
kyun ke nuskha bayaaz e saqi e kausar se mil gaya
ghar bethe ub sharaab e tahoora banaoon ga

kyun ke barsaat bint e ravi o jamna o neelgung
deen o sarood o barbat o aoud o rumab o chung

tan boora o rubana o taoos o jal tarang
sher o sharaab shahib o shehnaaz raqs o rung

barsaat ki hawaa e muattar ka waasta
maekhana khol saqi e kausar ka waasta

saqi lagi howi hai kharabation ki saff
phela howa hai abr e goharbar har taraf
botal ka kaag khol utha qais bar e daff
la bada e madina o paemana e najaf
tapheer ki rida hai falak per tani howi
aur de daman e rasool e khuda mein chani howi

maekada mera ghar ho to mein kya karoon
maekada mera ghar ho to mein kya karoon

mein ne peenay se tauba to ki thi magar
maekada mera ghar ho to mein kya karoon


back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)