Dil Na Bus Mein
Agar Ho
(if the heart is not under control)
intro music...
Aaa (Sufi Chants)
mani hazaar mannatein, radd na howi bala e dil
meri tarah khuda karay tera kisi pe aaye dil
tu bhi jigar ko thaam ke aray kehta phiray ke haaye dil
dil na bus mein agar ho to mein kya karoon
sari dunya mujhe kehti tera sodayi hai
dil na bus mein agar ho to mein kya karoon
hai yaqeenan chala ja raha hoon khabar nahi ke kidhar ja raha hoon
dil na bus mein agar ho to mein kya karoon
leya ishq mein jo bhikari banay tere naqshe qadam ke pujaari banay
dil na bus mein agar ho to mein kya karoon
milna bus mein agar ho to mein kya karoon
saamnay tera ghar ho to mein kya karoon
kaash mera ghar bhi tere ghar ke barabar hota
aray tu na aati teri aawaz to aaya karti
saamnay tera ghar ho to mein kya karoon
mein ne kaaba samajh ke jhukayi jabeen
woh tera sung e dar ho to mein kya karoon
kufr mein bhi hum rahay qismat se eeman ki taraf
shukar hai kaaba bhi nikla tuu e jana ki taraf
woh tera sung e dar ho to mein kya karoon
weerana e kharab tha dil teri yaad ne
maamora e bahar e gul'afshaan bana diya
us raaz ko jo qalb e azal mein na chupp saka
pinhaan keya to paiker e insaan bana diya
zoq e yaqeen e kufr ko eeman bana diya
jis dar pe jhuk gaye dar e jaana bana diya
woh tera sung e dar ho to mein kya karoon
niyaz-e-ishq ko samjha hai tu kya waiz-e-naadan
hazaron bun gaye kaabe jabeen mein ne jahan rakh di
woh tera sung e dar ho to mein kya karoon
mein ne kaaba samajh ke jhukayi jabeen
woh tera sung e dar ho to mein kya karoon
unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
jalwa woh sare baam dikhaein to qayamat
purdah rukh e anwar se uthaein to qayamat
hein unki ada'ein bhi zamane se nirali
aayen to qayamat wo na aayen to qayamat
unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
unhoon ne wada keya hai shab ko aain ge
khuda karay kaheen jaldi se shaam ho jaye
unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
charaghon ko bujhaye kabhi parde giraye
shab e wada khuda janay hamein kya kya khayal aaye
unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
zindagi mukhtasar, zindagi mukhtasar, zindagi mukhtasar
zindagi mukhtasar, zindagi mukhtasar, zindagi mukhtasar
baja hai tu ne wada ker liya hai shaam aanay ka
saleeqa bhi yaqeenan hai tujhay wada nibhane ka
mein darta hoon magar yeh zindagi dhoka na kha jaye
jo pal ho tere aanay ka wo pal ho mere janay ka
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
luti hai aabru waadon ki yoon bhi
mashiyat daikh ke sharma rahi hai
udhar mera janaza ja raha hai
udhar unki sawari aa rahi hai
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
unke waaday pe mujh ko bharosa to hai
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
paida howe aazan howi, jab maray howi namaaz
itni si zindagi ka bhala kya karay koyi
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
shab e wasl kya mukhtasar ho gayi, idhar aankh jhapki sahar ho gayi
numaya howi subh e peere jigar bus ub daastan mukhtasar ho gayi
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon
mein ne peenay se tauba to ki thi magar
badal ka rung dekh ker niyyat badal gayi
mein ne peenay se tauba to ki thi magar
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
mae'kada mera ghar, maikada mera ghar, maikada mera ghar
mae'kada mera ghar, maikada mera ghar, maikada mera ghar
mein ne peenay se tauba to ki thi magar
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
jaam mera tauba shikan, tauba meri jaam shikan
saamne dhair hein totay howay paimano ke
mein ne peenay se tauba to ki thi magar
saqiya! peenay se tauba karoon tauba tauba
mein ne dunya ke dikhane ko qasam khayi hai
mein ne peenay se tauba to ki thi magar
mujh pe na haram wale ho neele peele
kehti hai ghataein ke hateelay peele
mae'khane mein pohcha jo kabhi mein waiz
tauba ne kaha toot ke peele... peele
mein ne peenay se tauba to ki thi magar
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
leke saghar mein aaftab piyen
yeh samajh ker ke hai sawaab piyen
kufr hai naimaton ka thukrana
shaikh ji aaiyeh sharaab piyen
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
gir na jaye sambhal ker de de
chasm e mae'boo khangaal ker de de
ras baharon ka naghme bulbul ke
mere saaghar mein daal ker de de
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
mujhe naaz hai mae'kada mera ghar hai
mere jaam mein her haqeeqat chupi hai
mere saamne un kitaabon ko laao
kahan shaikh ji ki naseehat chapi hai
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
raat hai mahtaab hai saqi
sara mausam sharaab hai saqi
baaz lamhaat aise hote hein
jin mein peena sawab hai saqi
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
yunhi khana kharab rehne de
jaam mein aaftab rehne de
gham se ghabra gaya hoon mein saqi
mujhko gharq e sharaab rehne de
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
mein ne peenay se tauba to ki thi magar
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
woh loag nahi hein jinhen haimat per bharosa
ghabra ke piyen ge kabhi tharra ke piyen ge
daikhein ge ke aata hai kidhar se kham e dunya
saqia tujhe hum saamne bitha ke piyen ge
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
hum agar aaftab peete hein
aap kyun peech o taab peete hein
waiz e mohtaram sidhariye aap
rindh hein hum sharaab peete hein
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
brahaman jab hisaab dhoondte hein
shaikh saahib kitab dhoondte hein
apni apni talash hai pyaare
shaam ko hum sharaab dhoondte hein
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
meri nazar ko junoon ka payam de saqi
meri hayaat ko la'fani shaam de saqi
yeh rooz rooz ka peena pasand mujhe nahi
kabhi na hosh mein aaon wo jaam de saqi
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
mere naseeb mein hai mae'kade ki taariqi
hayat aur kaheen bhi basar nahi hogi
pilaye ja mujhe saqi tamaam raat sharaab
mein jaam toor bhi doon to sahar nahi hogi
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
kaisay mabhood se baithay hein janaab e zahid
jaisay pehle he pehl aaye hein maekhane mein
hoon jo dus bees sharabi wo to tauba ker lein
shehar ka shehar hai dooba howa maekhane mein
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
aray kyun qayamat se darata hai ae waiz
aati rehti hein shab o rooz yeh maekhane mein
yeh dhuwandhaar ghataein yeh karak bijli ki
khouf se chupp gayi tauba mere paimane mein
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
kaise kehte ho tum yeh dagar chorr doon
tauba kerloon mein badanagar chorr doon
mere ghar mein barasti hai mae her ghari
ub batao mein kaise yeh ghar choor doon
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
kaif o masti ka dilkash nazar maekada
ehl-e-dil ka sukoon e jigar maekada
maekada mera ghar mera ghar maekada
maekada chor doon yani ghar chor doon
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
raat din zindagi ke aangan mein
aabjuu mastiyon ki behti hai
mera ghar maekade se kam to nahi
mere ghar mein sharaab rehti hai
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
yeh khat mein he sadaye dil e dardmand hai
aik bewatan ka pyaar lifafe mein bund hai
saqi sharaab undel ke chatt jayen zulmatein
suraj ki roshni teri botal mein bund hai
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
her runj ko khafeef tabassum se taal de
naazil hai koi barq to sagar uchal de
tu jaam mein sharab ko mut daal saqiya
isko barah e raast mere dil mein daal de
yeh surkh surkh botalein hein jo sharaab ki
raatein hein bund in mein hamare shabaab ki
ay Allah tujh se dua yehi hai baad marne ke
jo koi meri qabar ko dekhe wo qabar na kahay
balke kahen ke hai bhatti sharaab ki
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
nuskha bayaz e saqi e kausar se mil gaya
ghar bethe ub sharaab e tahoora banaoon ga
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
mein ne peene se tauba to ki thi magar
mae'kada mera ghar ho to mein kya karoon
dil na bus mein agar ho to mein kya karoon
saamne tera ghar ho to mein kya karoon... Aaa!
Song 1: Dil Na Bas Main Agar Ho (31:06)
Song 2: Mere Khoon-E-Aarzoo (30:14)
back to nfak page: Click Here
pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)