8:16 - 21:33 Allah hi Jane kaun bashar hai Allah he janay kaun bashar hai 13:17 arbaab e nazar ko koi aisa na milay ga insaan ko mil jayin ge maula na mila ga tareekh agar dhoonde gi saani e muhammad sani to bari cheez hai saya na milay ga to aankh gulabi! aankh gulabi aray must nazar hai allah he janay kaun bashar hai... aankh gulabi sallallah ki... aankh gulabi aray must nazar hai allah he janay kaun bashar hai... Allah he janay! sahiban e ilm, Quran majeed ka 15th parah. subhanallazi... pak hai wo zaat jis ne apne abd ko sayr karayi raaton raat masjid il haram se masjid il aqsa tak sahiban e ilm is aayat mein yeh jo sayr hai is ki tafseer pesh kar raha hoon elh e ilm ke liyeh allah he janay kaun bashar hai tawajju! khuwab e rahat mein they umme hani ke ghar gibrael ne aa ke sunayi khabar chaliyeh chaliyeh shehnshah e wala gohar haqqo shouq e lata aaj ki raat hai jaago jaago shehnshan e dunya o deen utho utho zar ala makaan ke makeen dekho dekho yeh hazir hai rooh ul ameen rooh tum per fida aaj ki raat hai barq se tez e baraaq aap ka kyun ke khaliq ko ishtiaaq aapka ub nahi dekha jata firaaq aapka jald chalna rawan aajki raat hai baagh e alam mein baagh e bahari chali sarwar e ambiya ki sawari chali yeh sawari so e zaat e bari chali abr e rehmat utha aaj ki raat hai jabl e shouq e tal her qadam saath hai daain baain farishton ki baarat hai sir pe noorani sehre ki kya baat hai chaha dulha bana aaj ki raat hai itni rehmat farishte chirakte chalay jiski khushbu se raste mehekte chalay chandkaray jaroon mein chamakte chalay kehkashan zerpa aajki raat hai aur nabiyon ko yeh martaba hee nahi arsh e azam pe koi gaya hee nahi aisa rutba kisi ko mila hee nahi jaisa rutba tera aaj ki raat hai 14:04 samayeen sawari arsh e muazzam pe pohchee maangne walay ne kya maanga aur dene walay ne kya deya lene walay ne kya leeya tawajju! us taraf rehmat e haqq e jouher khulay is taraf se shifaat ke daftar khulay day diya dekh hai faiz ke der khulay maang jo mangna aajki raat hai samayeen ehl e ilm ka majma hai tafeer e hussani madbua misr dosri jild ke hawale se keh raha hoon 770 martaba bari taala ne kaha maang maang maang 770 martaba mere nabi ne kya maanga tawajju shay ne arz ki ummat ummat ummat gunaahgar hai baksh de mere maalik tu ghaffar hai to phir kaha haq ne ay mahaparay nabi tu mera chaand aur taray nabi aisa ghabrana ay mere pyare nabi aise jaldi he kya aaj ki raat hai kyun ke lutf jab hai ke dekhen ge saray nabi ya muhammad teri ummat pe barsay gi rehmat meri aur bakhsh doon ga qayamat mein ummat teri tujh se wada mera aaj ki raat hai aur tu na mujh se alag mein na tujh se alag aur jo tujh se gaya wo mujh se gaya aur jo tujh se mila wo mujh se mila bus yehi faisla aajki raat hai phir kaha haq ne jalwa mera dekh le jo tujhe dekh le wo mujhe le mein tujhe dekh loon tu mujhe dekh le dekhne ka mazaa aaj ki raat hai allah he janay kaun bashar hai... aankh gulabi sallallah ki... aankh gulabi must nazar hai allah he janay kaun bashar hai... allah he janay samayeen ub jo sher keh raha hoon agar yoon to naat ka her sher jaan e naat hota hai laikin yaqeenan yeh sher ataa hai sun lee jiyeh surat mein faqeeron ki jab shah e hijaaz aaya aray bandoon ne kaha bandoon se wo bandanawaz aaya awais ko jab dekha sukkan e falaq bolay wo dekho muhammad ka ik pushta e naaz aaya imam banay aaqa kya shaan e imamat hai aray nabiyon ne safhein baandhi jab waqt e namaaz aaya samayeen shab e mairaj masjid il aqsa mein mere nabi ne imamat ki tamaam ambiya ne iqtida ki aur aik baat pori zimmedari ke saath alal ailaan keh raha hoon ke islam mein jitni ibadaat hein un mein namaaz sub se afzal aur namaaz mein jitne maqaam hein un mein sajdah sub se afzal shab e mairaj, majid ul aqsa mein imamat e muhammadiya mein, iqtida e ambiya mein jo namaaz ada howi uska maqaam e sajda pesh ker raha hoon tawajju! mohammad imaam banay nabiyon ne safhein baandhi muhammad imaam, imam ki tareef imam wo jo aagay mohammad imaam aagay nabiyoon ne safein bandhi essa peechay musa un ke aagay ub bawaqt e sajda essa ka sir musa ke qadmo mein musa ka sir yahya ke qadmo mein yayha ka sir zikarya ke qadmo mein zikarya ka sir younis ke qadmo mein younis ka sir yousuf ke qadmo mein yousuf ka sir yaqoob ke qadmo mein yaqoob ka sir ayub ke qadmo mein ayub ka sir ishaaq ke qadmo mein ishaaq ka sir ismail ke qadmo mein ismail ka sir ibrahim ke qadmo mein ibrahim ka sir saleh ke qadmo mein saleh ka sir khizr ke qadmo mein khizr ka sir zulqernain ke qadmo mein zulqernain ka sir suleman ke qadmo mein suleman ka sir daood ke qadmo mein daood ka sir idrees ke qadmo mein idrees ka sir loot ke qadmo mein aray loot ka nooh ke qadmo mein aur nooh ka sir adam ke qadmo mein itne sir sajde mein jaain tab aik moahmmad banta hai allah he janay kaun bashar hai... aankh gulabi sallallah ki... aankh gulabi must nazar hai allah he janay kaun bashar hai... 21:33 ___________________________________________________ phir kaha haq ne jalwa mera dekh le jo tujhe dekh le wo mujhe dekh le mein tujhe dekh loon tu mujhe dekh le dekhne ka maza aaj ki raat hai allah he janay kaun bashar? hai aankh gulabi sallallah ki... allah he janay... surat mein faqeeron ki jab shah e hijaz aaya aray bandoon ne kaha bando se wo bandanawaz aaya awais ko jab dekha sukan e falak bolay wo dekho mohammad ka ik usta e naaz aaya imam banay aaqa, kya shaan e imamat hai! nabiyon ne safein bandhi jab waqt e namaaz aaya tayyab imaam tahir? imaam yaseen imaam muzammil imaam mudassir imam balke mohammad imaam imam banay aaqa, kya shaan e imamat hai! nabiyon ne safein bandhi jab waqt e namaaz aaya mohammad imaam, imaam aagay, imaam banay aaqa mohammad imaam aagay nabiyoon ne safein bandhi essa peechay musa un ke aagay mohammad imaam aagay nabiyoon ne safein bandhi essa peechay ub bawaqt e sajda essa ka sir musa ke qadmo mein musa ka sir yahya ke qadmo mein yayha ka sir zikarya ke qadmo mein zikarya ka sir yousin ke qadmo mein younis ka sir yousuf ke qadmo mein yousuf ka sir yaqoob ke qadmo mein yaqoob ka sir ayub ke qadmo mein ayub ka sir ishaaq ke qadmo mein ishaaq ka sir ismail ke qadmo mein ismail ka sir ibrahim ke qadmo mein ibrahim ka sir saleh ke qadmo mein saleh? ka sir khizr ke qadmo mein khizr ka sir zulqernain ke qadmo mein zulqernain ka sir suleman ke qadmo mein suleman ka sir daood ke qadmo mein daood ka sir idrees ke qadmo mein idrees ka sir loot ke qadmo mein aray loot ka nooh ke qadmo mein aur nooh ka sir adam ke qadmo mein itne sir sajde mein jaain tab aik moahmmad banta hai allah he janay kaun bashar hai...