Aasmaan Se Utaara
Gayaa
(Sent down from Heaven)
pareshaan, pareshaan hoke meri khaak aakhir dil na bun jaye
jo mushkil ub hai ya-rub phir wohi mushkil na bun jaye
urooj-e-adam-e-khaki se anjum sehme jate hein
ke yeh toota howa tara mahe-e-kamil na bun jaye
mera maqaam arsh tha laikin na farsh hai
kitni bulandio se giraya gaya hoon mein
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai hamein
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
Aaa
kon utara gaya? mein?!? mein to aadam.. aadmi mustaq-e-aadam se sahiban e ilm
mein to Adam... nahi!
mein to Adam... abhi bhi nahi!
mein to Aadam! Aadam. yani aa gaya Dam
ho gaya Aadam! yeh dam aata raha Aadam aata raha
Adam mein jab tak dam na tha, yeh khak tha Aadam na tha
Aadam mein aake dam howa yeh khaak se Aadam howa
yeh bhed sara dam ka hai yeh dam usi hamdam ka hai
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
nahi aise nahi... (kedang)??? e riwayat sun lein
aadam aadam se howi nafarmani
aadam aadam se howi nafarmani.. manta hoon iqrar hai
aadam se howi nafarmani jannat se utha dana pani
dana pani dana pani dana pani
dana ho ker nadan bana ik dane pe itni nadani
khata shaitan ki Aadam ko phenka bagh-e-jannat se
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
nahi... ghaiq e ula kya thi. aasman se kiyoon utara gaya wo ghaik e ula kya thi
na tha kuch to khuda tha... haan ji
jab na tha kuch to khuda tha
aur kuch na hota to... ji khuda hota (ji ji jhijhak ke kyun keh rahe hein bedharak
keh dein)
na tha kuch to khuda tha aur kuch na hota to khuda... (yeh aap ne bhi iqraar
kiya ub aage barh raha hoon)
duboya mujh ko hone ne, hone ne dubuya. kyun?
yahan hona na hona hai, na hona ain-e-hona hai
yahan hona na hona hai. kyun?
layi hayat aayi qada??? le chali chale
apni khushi na aaye na apni khushi chale
zindagi, zindagi mout ka nishana hai
sub ko ik din yahan se jana hai
yahan hona na hona hai, laikin na hona na hona (aap ne bhi kahan tha) ain e
hona hai
yani na tha kuch to khuda tha aur kuch na hota to khuda hota
duboya mujh ko hone ne, na mein hota to kya hota
agar behr-e-ma'ani se na yeh qatra juda hota
na yeh dunya bani hoti na yeh aalam bana hota
wo banda kis ko kehta aray aur wo kis ka khuda hota
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
aasman se utara gaya aasman se utara gaya hai
aasman se utara gaya zindagi deke mara gaya
zindagi deke mara gaya zindagi deke mara gaya re
dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein
ik aina tha toot gaya dekh bhaal mein
dunya hai khwaab, hasil-e-dunya khayal hai
insan khuwab dekh raha hai khayal mein
zindagi deke mara ey mara gaya re
zindagi deke mara ey mara gaya re
zindagi kya, kisi muflis ki khaba hai jis mein
her ghari dard ke pewand laga karte hein
zindagi kya, kisi hamsaye se manga howa zewar to nahi
aik dharka sa laga rehta hai kho janay ka
zindagi deke mara ey mara gaya re
zindagi deke mara ey mara gaya re
zindagi kya hai... samaein zindagi deke mara gaya tawajju
(Allama) apne mun mein toot ker paja suragh-e-zindagi
tu agar mera nahi bunta na bun apna to bun
zindagi kya hai...
zindagi azdaat ka pai'mane lutf o ittefaq
aik ham-a-hangi miyan e jazba e wasl o firaq
aik atal meesaq mabain e jamood o inshiqaq
kher o shar ka sulho nama shamesar sarka wifaq
zindagi kya hai...
zindagi bagesh zindagi yusuf zulekhan Qais laila naldaman
eid ki mae, choudwi ki raat, chothi ki dulhan
aik kahankti lab'kushai, aik chubukta bankpan
rung sagar, raag mandar, roop mala, phol bun
jiski qarno-o-hujra-e-qudrat mein rakhwali howi
titlion ki rasm saqi chaon mein pali howi
zindagi kya hai...
zindagi bageshri sarang thi pakso'hini
buttarashi raqs mousiqi khitabat shairi
pankhri titli sanobar doobnafli chandni
ardabani aasmani zafrani zindagi
laajvanti madbhari komal suhani zindagi
zindagi kya hai...
zindagi murte howay patte pe boondo ki khanak
subh-e-sarma ki kiran shaam-e-bahara ki dhanak
bol titli ki uran, awaz konday ki lapak
dobti birkha mein sarangi ke taro ki lachak
shehr-e-tan mein phoolwalo ki gali hai zindagi
aur gardan-e-aafaq mein champakali hai zindagi
aur maut?
naam jis ke maut se uthta hai seene mein dhuwan
farq-e-hasti per karak urhti hai dehshat ki kaman
dil pe rakh deta hai khouf-e-marg wo baar-e-garan
bolne lagti hein sehme zindagi ki haddiyan
aray koi narmawaz koi dastan bhaati nahi
aray maut yaad aa jaye to raaton ko neend aati nahi hai
zindagi deke mara gaya
zindagi deke mara ey mara gaya re
zindagi deke mara ey mara gaya re
zindagi deke mara gaya
zindagi deke mara gaya
zindagi deke mara gaya!
back to nfak page: Click Here
pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)